Jaun Eliya

tu bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
tū bhī chup hai maiñ bhī chup huuñ ye kaisī tanhā.ī hai
tere saath tirī yaad aa.ī kyā tū sach-much aa.ī hai
shāyad vo din pahlā din thā palkeñ bojhal hone kā
mujh ko dekhte hī jab us kī añgḌā.ī sharmā.ī hai
us din pahlī baar huā thā mujh ko rifāqat kā ehsās
jab us ke malbūs kī ḳhushbū ghar pahuñchāne aa.ī hai
husn se arz-e-shauq na karnā husn ko zak pahuñchānā hai
ham ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahuñchā.ī hai
ham ko aur to kuchh nahīñ sūjhā albatta us ke dil meñ
soz-e-raqābat paidā kar ke us kī niiñd uḌaa.ī hai
ham donoñ mil kar bhī diloñ kī tanhā.ī meñ bhaTkeñge
pāgal kuchh to soch ye tū ne kaisī shakl banā.ī hai
ishq-e-pechāñ kī sandal par jaane kis din bel chaḌhe
kyārī meñ paanī Thahrā hai dīvāroñ par kaa.ī hai
husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne naam
ishq kā pesha husn-parastī ishq baḌā harjā.ī hai
aaj bahut din ba.ad maiñ apne kamre tak aa niklā thā
juuñ hī darvāza kholā hai us kī ḳhushbū aa.ī hai
ek to itnā habs hai phir maiñ sāñseñ roke baiThā huuñ
vīrānī ne jhāḌū de ke ghar meñ dhuul uḌaa.ī hai
Top Urdushayar.com