āḳhirī baar aah kar lī hai
maiñ ne ḳhud se nibāh kar lī hai
apne sar ik balā to lenī thī
maiñ ne vo zulf apne sar lī hai
din bhalā kis tarah guzāroge
vasl kī shab bhī ab guzar lī hai
jāñ-nisāroñ pe vaar kyā karnā
maiñ ne bas haath meñ sipar lī hai
jo bhī māñgo udhār dūñgā maiñ
us galī meñ dukān kar lī hai
merā kashkol kab se ḳhālī thā
maiñ ne is meñ sharāb bhar lī hai
aur to kuchh nahīñ kiyā maiñ ne
apnī hālat tabāh kar lī hai
shaiḳh aayā thā mohtasib ko liye
maiñ ne bhī un kī vo ḳhabar lī hai