ḳhuub hai shauq kā ye pahlū bhī
maiñ bhī barbād ho gayā tū bhī
husn-e-maġhmūm tamkanat meñ tirī
farq aayā na yak-sar-e-mū bhī
ye na sochā thā zer-e-sāya-e-zulf
ki bichhaḌ jā.egī ye ḳhush-bū bhī
husn kahtā thā chheḌne vaale
chheḌnā hī to bas nahīñ chhū bhī
haa.e vo us kā mauj-ḳhez badan
maiñ to pyāsā rahā lab-e-jū bhī
yaad aate haiñ mo.ajize apne
aur us ke badan kā jaadū bhī
yāsmīñ us kī ḳhaas mahram-e-rāz
yaad aayā karegī ab tū bhī
yaad se us kī hai mirā parhez
ai sabā ab na aa.iyo tū bhī
haiñ yahī 'jaun-elia' jo kabhī
saḳht maġhrūr bhī the bad-ḳhū bhī