tiflān-e-kūcha-gard ke patthar bhī kuchh nahīñ
saudā bhī ek vahm hai aur sar bhī kuchh nahīñ
maiñ aur ḳhud ko tujh se chhupā.ūñgā ya.anī maiñ
le dekh le miyāñ mire andar bhī kuchh nahīñ
bas ik gubār-e-vahm hai ik kūcha-gard kā
dīvār-e-būd kuchh nahīñ aur dar bhī kuchh nahīñ
ye shahr-dār-o-muhtasib-o-maulavī hī kyā
pīr-e-muġhān-o-rind-o-qalandar bhī kuchh nahīñ
shaiḳh-e-harām-luqma kī parvā hai kyuuñ tumheñ
masjid bhī us kī kuchh nahīñ mimbar bhī kuchh nahīñ
maqdūr apnā kuchh bhī nahīñ is dayār meñ
shāyad vo jabr hai ki muqaddar bhī kuchh nahīñ
jaanī maiñ tere nāf-piyāle pe huuñ fidā
ye aur baat hai tirā paikar bhī kuchh nahīñ
ye shab kā raqs-o-rañg to kyā sun mirī kuhan
sub.h-e-shitāb-kosh ko daftar bhī kuchh nahīñ
bas ik ġhubār tūr-e-gumāñ kā hai tah-ba-tah
ya.anī nazar bhī kuchh nahīñ manzar bhī kuchh nahīñ
hai ab to ek jaal sukūn-e-hameshgī
parvāz kā to zikr hī kyā par bhī kuchh nahīñ
kitnā Darāvnā hai ye shahr-e-nabūd-o-būd
aisā Darāvnā ki yahāñ Dar bhī kuchh nahīñ
pahlū meñ hai jo mere kahīñ aur hai vo shaḳhs
ya.anī vafā-e-ahd kā bistar bhī kuchh nahīñ
nisbat meñ un kī jo hai aziyyat vo hai magar
shah-rag bhī koī shai nahīñ aur sar bhī kuchh nahīñ
yārāñ tumheñ jo mujh se gila hai to kis liye
mujh ko to e'tirāz ḳhudā par bhī kuchh nahīñ
guzregī 'jaun' shahr meñ rishtoñ ke kis tarah
dil meñ bhī kuchh nahīñ hai zabāñ par bhī kuchh nahīñ