aaj lab-e-guhar-fishāñ aap ne vā nahīñ kiyā
tazkira-e-ḳhajista-e-āb-o-havā nahīñ kiyā
kaise kaheñ ki tujh ko bhī ham se hai vāsta koī
tū ne to ham se aaj tak koī gila nahīñ kiyā
jaane tirī nahīñ ke saath kitne hī jabr the ki the
maiñ ne tire lihāz meñ terā kahā nahīñ kiyā
mujh ko ye hosh hī na thā tū mire bāzuoñ meñ hai
ya.anī tujhe abhī talak maiñ ne rihā nahīñ kiyā
tū bhī kisī ke baab meñ ahd-shikan ho ġhāliban
maiñ ne bhī ek shaḳhs kā qarz adā nahīñ kiyā
haañ vo nigāh-e-nāz bhī ab nahīñ mājrā-talab
ham ne bhī ab kī fasl meñ shor bapā nahīñ kiyā