na ham rahe na vo ḳhvāboñ kī zindagī hī rahī
gumāñ gumāñ sī mahak ḳhud ko DhūñDhtī hī rahī
ajab tarah ruḳh-e-ā.indagī kā rañg uḌā
dayār-e-zāt meñ az-ḳhud guzashtagī hī rahī
harīm-e-shauq kā aalam batā.eñ kyā tum ko
harīm-e-shauq meñ bas shauq kī kamī hī rahī
pas-e-nigāh-e-taġhāful thī ik nigāh ki thī
jo dil ke chehara-e-hasrat kī tāzgī hī rahī
ajiib ā.īna-e-partav-e-tamannā thā
thī us meñ ek udāsī ki jo sajī hī rahī
badal gayā sabhī kuchh us dayār-e-būdash meñ
galī thī jo tirī jaañ vo tirī galī hī rahī
tamām dil ke mohalle ujaḌ chuke the magar
bahut dinoñ to hañsī hī rahī ḳhushī hī rahī
vo dāstān tumheñ ab bhī yaad hai ki nahīñ
jo ḳhuun thūkne vāloñ kī be-hisī hī rahī
sunā.ūñ maiñ kise afsāna-e-ḳhyāl-e-malāl
tirī kamī hī rahī aur mirī kamī hī rahī