kisī se koī ḳhafā bhī nahīñ rahā ab to
gilā karo ki gilā bhī nahīñ rahā ab to
vo kāhisheñ haiñ ki aish-e-junūñ to kyā ya.anī
ġhurūr-e-zehn-e-rasā bhī nahīñ rahā ab to
shikast-e-zāt kā iqrār aur kyā hogā
ki idda.a-e-vafā bhī nahīñ rahā ab to
chune hue haiñ laboñ par tire hazār javāb
shikāyatoñ kā maza bhī nahīñ rahā ab to
huuñ mubtalā-e-yaqīñ merī mushkileñ mat pūchh
gumān-e-uqda-kushā bhī nahīñ rahā ab to
mire vajūd kā ab kyā savāl hai ya.anī
maiñ apne haq meñ burā bhī nahīñ rahā ab to
yahī atiyya-e-sub.h-e-shab-e-visāl hai kyā
ki sehr-e-nāz-o-zadā bhī nahīñ rahā ab to
yaqīn kar jo tirī aarzū meñ thā pahle
vo lutf tere sivā bhī nahīñ rahā ab to
vo sukh vahāñ ki ḳhudā kī haiñ baḳhshisheñ kyā kyā
yahāñ ye dukh ki ḳhudā bhī nahīñ rahā ab to