Jaun Eliya

shauq ka rang bujh gaya yaad ke zaKHm bhar gae

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
shauq kā rañg bujh gayā yaad ke zaḳhm bhar ga.e
kyā mirī fasl ho chukī kyā mire din guzar ga.e
rah-guzār-e-ḳhayāl meñ dosh-ba-dosh the jo log
vaqt kī gard-bād meñ jaane kahāñ bikhar ga.e
shaam hai kitnī be-tapāk shahr hai kitnā sahm-nāk
ham-nafaso! kahāñ ho tum jaane ye sab kidhar ga.e!
pās-e-hayāt kā ḳhayāl ham ko bahut burā lagā
pas ba-hujūm-e-ma.arka jaan ke be-sipar ga.e
maiñ to safoñ ke darmiyāñ kab se paḌā huuñ nīm-jāñ
mere tamām jāñ-nisār mere liye to mar ga.e
Top Urdushayar.com