Jaun Eliya

ganwai kis ki tamanna mein zindagi maine

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
gañvā.ī kis kī tamannā meñ zindagī maiñ ne
vo kaun hai jise dekhā nahīñ kabhī maiñ ne
tirā ḳhayāl to hai par tirā vajūd nahīñ
tire liye to ye mahfil sajā.ī thī maiñ ne
tire adam ko gavārā na thā vajūd mirā
so apnī beḳh-kunī kī kamī na kī maiñ ne
haiñ merī zaat se mansūb sad fasāna-e-ishq
aur ek satr bhī ab tak nahīñ likhī maiñ ne
ḳhud apne ishva-o-andāz kā shahīd huuñ maiñ
ḳhud apnī zaat se bartī hai be-ruḳhī maiñ ne
mire harīf mirī yakka-tāzīyoñ pe nisār
tamām umr halīfoñ se jañg kī maiñ ne
ḳharāsh-e-naġhma se siina chhilā huā hai mirā
fuġhāñ ki tark na kī naġhma-parvarī maiñ ne
davā se fā.eda maqsūd thā hī kab ki faqat
davā ke shauq meñ sehat tabāh kī maiñ ne
zabāna-zan thā jigar-soz tishnagī kā azaab
so jauf-e-sīna meñ dozaḳh uñDel lī maiñ ne
ġham-e-shu.ūr koī dam to mujh ko mohlat de
tamām-umr jalāyā hai apnā jī maiñ ne
ilaaj ye hai ki majbūr kar diyā jā.ūñ
vagarna yuuñ to kisī kī nahīñ sunī maiñ ne
rahā maiñ shāhid-e-tanhā nashīn-e-masnad-e-ġham
aur apne karb-e-anā se ġharaz rakhī maiñ ne
Top Urdushayar.com