Jaun Eliya

kabhi jab muddaton ke baad us ka samna hoga

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
kabhī jab muddatoñ ke ba.ad us kā sāmnā hogā
sivā.e paas ādāb-e-takalluf aur kyā hogā
yahāñ vo kaun hai jo intiḳhāb-e-ġham pe qādir ho
jo mil jaa.e vahī ġham dostoñ kā mudda.ā hogā
naved-e-sar-ḳhushī jab aa.egī us vaqt tak shāyad
hameñ zahr-e-ġham-e-hastī gavārā ho chukā hogā
salīb-e-vaqt par maiñ ne pukārā thā mohabbat ko
mirī āvāz jis ne bhī sunī hogī hañsā hogā
abhī ik shor-e-hā-o-hū sunā hai sārbānoñ ne
vo pāgal qāfile kī zid meñ pīchhe rah gayā hogā
hamāre shauq ke āsūda-o-ḳhush-hāl hone tak
tumhāre āriz-o-gesū kā saudā ho chukā hogā
navā.eñ nik.hateñ āsūda chehre dil-nashīñ rishte
magar ik shaḳhs is māhaul meñ kyā sochtā hogā
hañsī aatī hai mujh ko maslahat ke in taqāzoñ par
ki ab ik ajnabī ban kar use pahchānñā hogā
dalīloñ se davā kā kaam lenā saḳht mushkil hai
magar is ġham kī ḳhātir ye hunar bhī sīkhnā hogā
vo munkir hai to phir shāyad har ik maktūb-e-shauq us ne
sar-añgusht-e-hinā.ī se ḳhalāoñ meñ likhā hogā
hai nisf-e-shab vo dīvāna abhī tak ghar nahīñ aayā
kisī se chāñdnī rātoñ kā qissa chhiḌ gayā hogā
sabā shikvā hai mujh ko un darīchoñ se darīchoñ se
darīchoñ meñ to dīmak ke sivā ab aur kyā hogā
Top Urdushayar.com