Jaun Eliya

abhi farman aaya hai wahan se

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
abhī farmān aayā hai vahāñ se
ki haT jā.ūñ maiñ apne darmiyāñ se
yahāñ jo hai tanaffus hī meñ gum hai
parinde uḌ rahe haiñ shāḳh-e-jāñ se
darīcha baaz hai yādoñ kā aur maiñ
havā suntā huuñ peḌoñ kī zabāñ se
zamāna thā vo dil kī zindagī kā
tirī furqat ke din lā.ūñ kahāñ se
thā ab tak ma.arka bāhar kā darpesh
abhī to ghar bhī jaanā hai yahāñ se
fulāñ se thī ġhazal behtar fulāñ kī
fulāñ ke zaḳhm achchhe the fulāñ se
ḳhabar kyā duuñ maiñ shahr-e-raftagāñ kī
koī lauTe bhī shahr-e-raftagāñ se
yahī anjām kyā tujh ko havas thā
koī pūchhe to mīr-e-dāstāñ se
Top Urdushayar.com