Jaun Eliya

hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
havās meñ to na the phir bhī kyā na kar aa.e
ki daar par ga.e ham aur phir utar aa.e
ajiib haal ke majnūñ the jo ba-ishva-o-nāz
ba-sū-e-bād ye mahmil meñ baiTh kar aa.e
kabhī ga.e the miyāñ jo ḳhabar ke sahrā kī
vo aa.e bhī to bagūloñ ke saath ghar aa.e
koī junūñ nahīñ saudā.iyān-e-sahrā ko
ki jo azaab bhī aa.e vo shahr par aa.e
batāo daam gurū chāhiye tumheñ ab kyā
parindagān-e-havā ḳhaak par utar aa.e
ajab ḳhulūs se ruḳhsat kiyā gayā ham ko
ḳhayāl-e-ḳhām kā tāvān thā so bhar aa.e
Top Urdushayar.com