sab chale jaao mujh meñ taab nahīñ
naam ko bhī ab iztirāb nahīñ
ḳhuun kar duuñ tire shabāb kā maiñ
mujh sā qātil tirā shabāb nahīñ
ik kitāb-e-vajūd hai to sahī
shāyad is meñ duā kā baab nahīñ
tū jo paḌhtā hai bū-alī kī kitāb
kyā ye aalim koī kitāb nahīñ
apnī manzil nahīñ koī fariyād
raḳhsh bhī apnā bad-rikāb nahīñ
ham kitābī sadā ke haiñ lekin
hasb-e-manshā koī kitāb nahīñ
bhuul jaanā nahīñ gunāh use
yaad karnā use savāb nahīñ
paḌh liyā us kī yaad kā nusḳha
us meñ shohrat kā koī baab nahīñ