koī dam bhī maiñ kab andar rahā huuñ
liye haiñ saañs aur bāhar rahā huuñ
dhueñ meñ saañs haiñ sāñsoñ meñ pal haiñ
maiñ raushan-dān tak bas mar rahā huuñ
fanā har dam mujhe gintī rahī hai
maiñ ik dam kā thā aur din bhar rahā huuñ
zarā ik saañs rokā to lagā yuuñ
ki itnī der apne ghar rahā huuñ
ba-juz apne mayassar hai mujhe kyā
so ḳhud se apnī jebeñ bhar rahā huuñ
hamesha zaḳhm pahuñche haiñ mujhī ko
hamesha maiñ pas-e-lashkar rahā huuñ
liTā de niiñd ke bistar pe ai raat
maiñ din bhar apnī palkoñ par rahā huuñ