Jaun Eliya

Thik hai KHud ko hum badalte hain

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
Thiik hai ḳhud ko ham badalte haiñ
shukriya mashvarat kā chalte haiñ
ho rahā huuñ maiñ kis tarah barbād
dekhne vaale haath malte haiñ
hai vo jaan ab har ek mahfil kī
ham bhī ab ghar se kam nikalte haiñ
kyā takalluf kareñ ye kahne meñ
jo bhī ḳhush hai ham us se jalte haiñ
hai use duur kā safar dar-pesh
ham sambhāle nahīñ sambhalte haiñ
tum bano rañg tum bano ḳhushbū
ham to apne suḳhan meñ Dhalte haiñ
maiñ usī tarah to bahaltā huuñ
aur sab jis tarah bahalte haiñ
hai ajab faisle kā sahrā bhī
chal na paḌiye to paañv jalte haiñ
Top Urdushayar.com