Jaun Eliya

ek hi muzhda subh lati hai

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ek hī muzhda sub.h laatī hai
dhuup āñgan meñ phail jaatī hai
rañg-e-mausam hai aur bād-e-sabā
shahr kūchoñ meñ ḳhaak uḌātī hai
farsh par kāġhaz uḌte phirte haiñ
mez par gard jamtī jaatī hai
sochtā huuñ ki us kī yaad āḳhir
ab kise raat bhar jagātī hai
maiñ bhī izn-e-navā-garī chāhūñ
be-dilī bhī to lab hilātī hai
so ga.e peḌ jaag uThī ḳhushbū
zindagī ḳhvāb kyuuñ dikhātī hai
us sarāpā vafā kī furqat meñ
ḳhvāhish-e-ġhair kyuuñ satātī hai
aap apne se ham-suḳhan rahnā
ham-nashīñ saañs phuul jaatī hai
kyā sitam hai ki ab tirī sūrat
ġhaur karne pe yaad aatī hai
kaun is ghar kī dekh-bhāl kare
roz ik chiiz TuuT jaatī hai
Top Urdushayar.com