ham kahāñ aur tum kahāñ jānāñ
haiñ ka.ī hijr darmiyāñ jānāñ
rā.egāñ vasl meñ bhī vaqt huā
par huā ḳhuub rā.egāñ jānāñ
mere andar hī to kahīñ ġham hai
kis se pūchhūñ tirā nishāñ jānāñ
ālam-e-be-karān-e-rañg hai tū
tujh meñ Thahrūñ kahāñ kahāñ jānāñ
maiñ havāoñ se kaise pesh aa.uuñ
yahī mausam hai kyā vahāñ jānāñ
raushnī bhar ga.ī nigāhoñ meñ
ho ga.e ḳhvāb be-amāñ jānāñ
dard-mandān-e-kū-e-dildārī
ga.e ġhārat jahāñ tahāñ jānāñ
ab bhī jhīloñ meñ aks paḌte haiñ
ab bhī niilā hai āsmāñ jānāñ
hai jo purkhoñ tumhārā aks-e-ḳhayāl
zaḳhm aa.e kahāñ kahāñ jānāñ