Jaun Eliya

tujh mein paDa hua hun harakat nahin hai mujh mein

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
tujh meñ paḌā huā huuñ harakat nahīñ hai mujh meñ
hālat na pūchhiyo tū hālat nahīñ hai mujh meñ
ab to nazar meñ aa jā bāñhoñ ke ghar meñ aa jā
ai jaan terī koī sūrat nahīñ hai mujh meñ
ai rañg rañg meñ aa āġhosh-e-tañg meñ aa
bāteñ hī rañg kī haiñ rañgat nahīñ hai mujh meñ
apne meñ hī kisī kī ho rū-ba-rūī mujh ko
huuñ ḳhud se rū-ba-rū huuñ himmat nahīñ hai mujh meñ
ab to simaT ke aa jā aur ruuh meñ samā jā
vaise kisī kī pyāre vus.at nahīñ hai mujh meñ
shīshe ke is taraf se maiñ sab ko tak rahā huuñ
marne kī bhī kisī ko fursat nahīñ hai mujh meñ
tum mujh ko apne ram meñ le jaao saath apne
apne se ai ġhazālo vahshat nahīñ hai mujh meñ
Top Urdushayar.com