Jaun Eliya

hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-bu tum kahan jaoge hum kahan jaenge

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
hai bikharne ko ye mahfil-e-rañg-o-bū tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
har taraf ho rahī hai yahī guftugū tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
har matā-e-nafas nazr-e-āhañg kī ham ko yārāñ havas thī bahut rañg kī
gul-zamīñ se ubalne ko hai ab lahū tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
avval-e-shab kā mahtāb bhī jā chukā sehn-e-mai-ḳhāna se ab ufuq meñ kahīñ
āḳhir-e-shab hai ḳhālī haiñ jām-o-subū tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
koī hāsil na thā aarzū kā magar sāneha ye hai ab aarzū bhī nahīñ
vaqt kī is masāfat meñ be-ārzū tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
kis qadar duur se lauT kar aa.e haiñ yuuñ kaho umr barbād kar aa.e haiñ
thā sarāb apnā sarmāya-e-justujū tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
ik junūñ thā ki ābād ho shahr-e-jāñ aur ābād jab shahr-e-jāñ ho gayā
haiñ ye sargoshiyāñ dar-ba-dar kū-ba-kū tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
dasht meñ raqs-e-shauq-e-bahār ab kahāñ bād-paimā.ī-e-dīvāna-vār ab kahāñ
bas guzarne ko hai mausam-e-hāv-hū tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
ham haiñ rusvā-kun-e-dillī-o-lucknow apnī kyā zindagī apnī kyā aabrū
'mīr' dillī se nikalne ga.e lucknow tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
Top Urdushayar.com