diid kī ek aan meñ kār-e-davām ho gayā
vo bhī tamām ho gayā maiñ bhī tamām ho gayā
ab maiñ huuñ ik azaab meñ aur ajab azaab meñ
jannat-e-pur-sukūt meñ mujh se kalām ho gayā
aah vo aish-e-rāz-e-jāñ haa.e vo aish-e-rāz-e-jāñ
haa.e vo aish-e-rāz-e-jāñ shahr meñ aam ho gayā
rishta-e-rañg-e-jāñ mirā nik.hat-e-nāz se tirī
puḳhta huā aur is qadar ya.anī ki ḳhaam ho gayā
pūchh na vasl kā hisāb haal hai ab bahut ḳharāb
rishta-e-jism-o-jāñ ke biich jism harām ho gayā
shahr kī dāstāñ na pūchh hai ye ajiib dāstāñ
aane se shahryār ke shahr ġhulām ho gayā
dil kī kahāniyāñ banīñ kūcha-ba-kūcha kū-ba-kū
sah ke malāl-e-shahr ko shahr meñ naam ho gayā
'jaun' kī tishnagī kā thā ḳhuub hī mājrā ki jo
mīnā-ba-mīnā mai-ba-mai jām-ba-jām ho gayā
nāf-piyāle ko tire dekh liyā muġhāñ ne jaan
saare hī mai-kade kā aaj kaam tamām ho gayā
us kī nigāh uTh ga.ī aur meñ uTh ke rah gayā
merī nigāh jhuk ga.ī aur salām ho gayā