dil ko duniyā kā hai safar darpesh
aur chāroñ taraf hai ghar darpesh
hai ye aalam ajiib aur yahāñ
mājrā hai ajīb-tar darpesh
do jahāñ se guzar gayā phir bhī
maiñ rahā ḳhud ko umr bhar darpesh
ab maiñ kū-e-abas shitāb chalūñ
ka.ī ik kaam haiñ udhar darpesh
us ke dīdār kī ummīd kahāñ
jab ki hai diid ko nazar darpesh
ab mirī jaan bach ga.ī yaanī
ek qātil kī hai sipar darpesh
kis tarah kuuch par kamar bāñdhūñ
ek rahzan kī hai kamar darpesh
ḳhalvat-e-nāz aur ā.īna
ḳhud-nigar ko hai ḳhud-nigar darpesh