Jaun Eliya

be-qarari si be-qarari hai

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
be-qarārī sī be-qarārī hai
vasl hai aur firāq taarī hai
jo guzārī na jā sakī ham se
ham ne vo zindagī guzārī hai
nighare kyā hue ki logoñ par
apnā saaya bhī ab to bhārī hai
bin tumhāre kabhī nahīñ aa.ī
kyā mirī niiñd bhī tumhārī hai
aap meñ kaise aa.uuñ maiñ tujh bin
saañs jo chal rahī hai aarī hai
us se kahiyo ki dil kī galiyoñ meñ
raat din terī intizārī hai
hijr ho yā visāl ho kuchh ho
ham haiñ aur us kī yādgārī hai
ik mahak samt-e-dil se aa.ī thī
maiñ ye samjhā tirī savārī hai
hādsoñ kā hisāb hai apnā
varna har aan sab kī baarī hai
ḳhush rahe tū ki zindagī apnī
umr bhar kī umīd-vārī hai
Top Urdushayar.com