Jaun Eliya

jo zindagi bachi hai use mat gawaiye

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
jo zindagī bachī hai use mat ga.vāiye
behtar ye hai ki aap mujhe bhuul jā.iye
har aan ik judā.ī hai ḳhud apne aap se
har aan kā hai zaḳhm jo har aan khā.iye
thī mashvarat kī ham ko basānā hai ghar nayā
dil ne kahā ki mere dar-o-bām Dhā.iye
thūkā hai maiñ ne ḳhuun hamesha mazāq meñ
merā mazāq aap hamesha uḌā.iye
hargiz mire huzūr kabhī aa.iye na aap
aur aa.iye agar to ḳhudā ban ke aa.iye
ab koī bhī nahīñ hai koī dil-mohalle meñ
kis kis galī meñ jā.iye aur gul machā.iye
ik taur-e-dah-sadī thā jo be-taur ho gayā
ab jantarī bajā.iye tārīḳh gā.iye
ik lāl-qil.a thā jo miyāñ zard paḌ gayā
ab rañg-rez kaun se kis jā se lā.iye
shā.ir hai aap ya.anī ki saste latīf-go
rishtoñ ko dil se roiye sab ko hañsā.iye
jo hālatoñ kā daur thā vo to guzar gayā
dil ko jalā chuke haiñ so ab ghar jalā.iye
ab kyā fareb dījiye aur kis ko dījiye
ab kyā fareb khā.iye aur kis se khā.iye
hai yaad par madār mere kārobār kā
hai arz aap mujh ko bahut yaad aa.iye
bas filoñ kā bojh uThāyā kareñ janāb
misra ye 'jaun' kā hai ise mat uThā.iye
Top Urdushayar.com