Jaun Eliya

ye aksar talKH-kaami si rahi kya

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ye aksar talḳh-kāmī sī rahī kyā
mohabbat zak uThā kar aa.ī thī kyā
na kasdam haiñ na af.ī haiñ na azhdar
mileñge shahr meñ insān hī kyā
maiñ ab har shaḳhs se uktā chukā huuñ
faqat kuchh dost haiñ aur dost bhī kyā
ye rabt-e-be-shikāyat aur ye maiñ
jo shai siine meñ thī vo bujh ga.ī kyā
mohabbat meñ hameñ pās-e-anā thā
badan kī ishtihā sādiq na thī kyā
nahīñ hai ab mujhe tum par bharosā
tumheñ mujh se mohabbat ho ga.ī kyā
javāb-e-bosa sach añgḌā.iyāñ sach
to phir vo be-vafā.ī jhuuT thī kyā
shikast-e-e'timād-e-zāt ke vaqt
qayāmat aa rahī thī aa ga.ī kyā
Top Urdushayar.com