silsila jumbāñ ik tanhā se ruuh kisī tanhā kī thī
ek āvāz abhī aa.ī thī vo āvāz havā kī thī
be-duniyā.ī ne is dil kī aur bhī duniyā-dār kiyā
dil par aisī TuuTī duniyā tark zarā duniyā kī thī
apne andar hañstā huuñ maiñ aur bahut sharmātā huuñ
ḳhuun bhī thūkā sach-much thūkā aur ye sab chālākī thī
apne-āp se jab maiñ gayā huuñ tab kī rivāyat suntā huuñ
aa kar kitne din tak us kī yaad mujhe pūchhā kī thī
huuñ saudā.ī saudā.ī sā jab se maiñ ne jaanā hai
tai vo rāh-e-sar-e-saudā.ī maiñ ne be-saudā kī thī
gard thī begāna-gardī kī jo thī nigah merī tāham
jab bhī koī sūrat bichhḌī āñkhoñ meñ nam-nākī thī
hai ye qissa kitnā achchhā par maiñ achchhā samjhūñ to
ek thā koī jis ne yak-dam ye duniyā paidā kī thī