hai ajab haal ye zamāne kā
yaad bhī taur hai bhulāne kā
pasand aayā bahut hameñ pesha
ḳhud hī apne gharoñ ko Dhāne kā
kaash ham ko bhī ho nasīb kabhī
aish-e-daftar meñ gungunāne kā
āsmāñ hai ḳhamoshī-e-jāved
maiñ bhī ab lab nahīñ hilāne kā
jaan kyā ab tirā piyāla-e-nāf
nashsha mujh ko nahīñ pilāne kā
shauq hai is dil-e-darinda ko
aap ke hoñT kaaT khāne kā
itnā nādim huā huuñ ḳhud se ki maiñ
ab nahīñ ḳhud ko āzmāne kā
kyā kahūñ jaan ko bachāne maiñ
'jaun' ḳhatra hai jaan jaane kā
ye jahāñ 'jaun' ik jahannum hai
yaañ ḳhudā bhī nahīñ hai aane kā
zindagī ek fan hai lamhoñ ko
apne andāz se gañvāne kā