aaj bhī tishnagī kī qismat meñ
sam-e-qātil hai salsabīl nahīñ
sab ḳhudā ke vakīl haiñ lekin
aadmī kā koī vakīl nahīñ
hai kushāda azal se rū-e-zamīñ
haram-o-dair be-fasīl nahīñ
zindagī apne rog se hai tabāh
aur darmāñ kī kuchh sabīl nahīñ
tum bahut jāzib-o-jamīl sahī
zindagī jāzib-o-jamīl nahīñ
na karo bahs haar jāogī
husn itnī baḌī dalīl nahīñ