yaad use intihā.ī karte haiñ
so ham us kī burā.ī karte haiñ
pasand aatā hai dil se yūsuf ko
vo jo yūsuf ke bhaa.ī karte haiñ
hai badan ḳhvāb-e-vasl kā dañggal
aao zor-āzmā.ī karte haiñ
us ko aur ġhair ko ḳhabar hī nahīñ
ham lagā.ī bujhā.ī karte haiñ
ham ajab haiñ ki us kī bāñhoñ meñ
shikva-e-nārasā.ī karte haiñ
hālat-e-vasl meñ bhī ham donoñ
lamha lamha judā.ī karte haiñ
aap jo merī jaañ haiñ maiñ dil huuñ
mujh se kaise judā.ī karte haiñ
bā-vafā ek dūsre se miyāñ
har-nafas bevafā.ī karte haiñ
jo haiñ sarhad ke paar se aa.e
vo bahut ḳhud-satā.ī karte haiñ
pal qayāmat ke sūd-ḳhvār haiñ 'jaun'
ye abad kī kamā.ī karte haiñ