Jaun Eliya

hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ham jī rahe haiñ koī bahāna kiye baġhair
us ke baġhair us kī tamannā kiye baġhair
ambār us kā parda-e-hurmat banā miyāñ
dīvār tak nahīñ girī pardā kiye baġhair
yārāñ vo jo hai merā masīhā-e-jān-o-dil
be-had aziiz hai mujhe achchhā kiye baġhair
maiñ bistar-e-ḳhayāl pe leTā huuñ us ke paas
sub.h-e-azal se koī taqāzā kiye baġhair
us kā hai jo bhī kuchh hai mirā aur maiñ magar
vo mujh ko chāhiye koī saudā kiye baġhair
ye zindagī jo hai use ma.anā bhī chāhiye
va.ada hameñ qubūl hai iifā kiye baġhair
ai qātiloñ ke shahr bas itnī hī arz hai
maiñ huuñ na qatl koī tamāshā kiye baġhair
murshid ke jhuuT kī to sazā be-hisāb hai
tum chhoḌiyo na shahr ko sahrā kiye baġhair
un āñganoñ meñ kitnā sukūn o surūr thā
ārā.ish-e-nazar tirī parvā kiye baġhair
yārāñ ḳhushā ye roz o shab-e-dil ki ab hameñ
sab kuchh hai ḳhush-gavār gavārā kiye baġhair
girya-kunāñ kī fard meñ apnā nahīñ hai naam
ham girya-kun azal ke haiñ girya kiye baġhair
āḳhir haiñ kaun log jo baḳhshe hī jā.eñge
tārīḳh ke harām se tauba kiye baġhair
vo sunnī bachcha kaun thā jis kī jafā ne 'jaun'
shii.ā banā diyā hameñ shii.ā kiye baġhair
ab tum kabhī na aaoge ya.anī kabhī kabhī
ruḳhsat karo mujhe koī va.ada kiye baġhair
Top Urdushayar.com