jo huā 'jaun' vo huā bhī nahīñ
ya.anī jo kuchh bhī thā vo thā bhī nahīñ
bas gayā jab vo shahr-e-dil meñ mire
phir maiñ is shahr meñ rahā bhī nahīñ
ik ajab taur haal hai ki jo hai
ya.anī maiñ bhī nahīñ ḳhudā bhī nahīñ
lamhoñ se ab muāmla kyā ho
dil pe ab kuchh guzar rahā bhī nahīñ
jāniye maiñ chalā gayā huuñ kahāñ
maiñ to ḳhud se kahīñ gayā bhī nahīñ
tū mire dil meñ aan ke bas jā
aur tū mere paas aa bhī nahīñ