Jaun Eliya

kaam ki baat maine ki hi nahin

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
kaam kī baat maiñ ne kī hī nahīñ
ye mirā taur-e-zindagī hī nahīñ
ai umiid ai umīd-e-nau-maidāñ
mujh se mayyat tirī uThī hī nahīñ
maiñ jo thā us galī kā mast-e-ḳhirām
us galī meñ mirī chalī hī nahīñ
ye sunā hai ki mere kuuch ke ba.ad
us kī ḳhushbū kahīñ basī hī nahīñ
thī jo ik fāḳhta udaas udaas
sub.h vo shāḳh se uḌī hī nahīñ
mujh meñ ab merā jī nahīñ lagtā
aur sitam ye ki merā jī hī nahīñ
vo jo rahtī thī dil-mohalle meñ
phir vo laḌkī mujhe milī hī nahīñ
jā.iye aur ḳhaak uḌā.iye aap
ab vo ghar kyā ki vo galī hī nahīñ
haa.e vo shauq jo nahīñ thā kabhī
haa.e vo zindagī jo thī hī nahīñ
Top Urdushayar.com