Jaun Eliya

har dhaDkan haijaani thi har KHamoshi tufani thi

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
har dhaḌkan haijānī thī har ḳhāmoshī tūfānī thī
phir bhī mohabbat sirf musalsal milne kī āsānī thī
jis din us se baat huī thī us din bhī be-kaif thā maiñ
jis din us kā ḳhat aayā hai us din bhī vīrānī thī
jab us ne mujh se ye kahā thā ishq rifāqat hī to nahīñ
tab maiñ ne har shaḳhs kī sūrat mushkil se pahchānī thī
jis din vo milne aa.ī hai us din kī rūdād ye hai
us kā blouse nāranjī thā us kī saarī dhānī thī
uljhan sī hone lagtī thī mujh ko akasr aur vo yuuñ
merā mizāj-e-ishq thā shahrī us kī vafā dahqānī thī
ab to us ke baare meñ tum jo chāho vo kah Daalo
vo añgḌā.ī mere kamre tak to baḌī rūhānī thī
naam pe ham qurbān the us ke lekin phir ye taur huā
us ko dekh ke ruk jaanā bhī sab se baḌī qurbānī thī
mujh se bichhaḌ kar bhī vo laḌkī kitnī ḳhush ḳhush rahtī hai
us laḌkī ne mujh se bichhaḌ kar mar jaane kī Thānī thī
ishq kī hālat kuchh bhī nahīñ thī baat baḌhāne kā fan thā
lamhe lā-fānī Thahre the qatroñ kī tuġhyānī thī
jis ko ḳhud maiñ ne bhī apnī ruuh kā irfāñ samjhā thā
vo to shāyad mere pyāse hoñToñ kī shaitānī thī
thā darbār-e-kalāñ bhī us kā naubat-ḳhāna us kā thā
thī mere dil kī jo raanī amrohe kī raanī thī
Top Urdushayar.com