bāhar guzār dī kabhī andar bhī ā.eñge
ham se ye pūchhnā kabhī ham ghar bhī ā.eñge
ḳhud āhanī nahīñ ho to poshish ho āhanī
yuuñ shīsha hī rahoge to patthar bhī ā.eñge
ye dasht-e-be-taraf hai gumānoñ kā mauj-ḳhez
is meñ sarāb kyā ki samundar bhī ā.eñge
āshuftagī kī fasl kā āġhāz hai abhī
āshuftagāñ palaT ke abhī ghar bhī ā.eñge
dekheñ to chal ke yaar tilismāt-e-samt-e-dil
marnā bhī paḌ gayā to chalo mar bhī ā.eñge
ye shaḳhs aaj kuchh nahīñ par kal ye dekhiyo
us kī taraf qadam hī nahīñ sar bhī ā.eñge