bajā irshād farmāyā gayā hai
ki mujh ko yaad farmāyā gayā hai
ināyat kī haiñ nā-mumkin umīdeñ
karam ījād farmāyā gayā hai
haiñ ab ham aur zad hai hādsoñ kī
hameñ āzād farmāyā gayā hai
zarā us kī pur-ahvālī to dekheñ
jise barbād farmāyā gayā hai
nasīm-e-sabzgī the ham so ham ko
ġhubār-uftād farmāyā gayā hai
mubārak fāl-e-nek ai ḳhusrav-e-shahr
mujhe farhād farmāyā gayā hai
sanad baḳhshī hai ishq-e-be-ġharaz kī
bahut hī shaad farmāyā gayā hai
salīqe ko lab-e-fariyād tere
adā kī daad farmāyā gayā hai
kahāñ ham aur kahāñ husn-e-sar-e-bām
hameñ buniyād farmāyā gayā hai