lamhe lamhe kī nā-rasā.ī hai
zindagī hālat-e-judā.ī hai
mard-e-maidāñ huuñ apnī zaat kā maiñ
maiñ ne sab se shikast khaa.ī hai
ik ajab haal hai ki ab us ko
yaad karnā bhī bevafā.ī hai
ab ye sūrat hai jān-e-jāñ ki tujhe
bhūlne meñ mirī bhalā.ī hai
ḳhud ko bhūlā huuñ us ko bhūlā huuñ
umr bhar kī yahī kamā.ī hai
maiñ hunar-mand-e-rañg huuñ maiñ ne
ḳhuun thūkā hai daad paa.ī hai
jaane ye tere vasl ke hañgām
terī furqat kahāñ se aa.ī hai