band bāhar se mirī zaat kā dar hai mujh meñ
maiñ nahīñ ḳhud meñ ye ik aam ḳhabar hai mujh meñ
ik ajab āmad-o-shud hai ki na maazī hai na haal
'jaun' barpā ka.ī nasloñ kā safar hai mujh meñ
hai mirī umr jo hairān tamāshā.ī hai
aur ik lamha hai jo zer-o-zabar hai mujh meñ
kyā tarastā huuñ ki bāhar ke kisī kaam aa.e
vo ik amboh ki bas ḳhāk-basar hai mujh meñ
Dūbne vāloñ ke dariyā mujhe pāyāb mile
us meñ ab Duub rahā huuñ jo bhañvar hai mujh meñ
dar-o-dīvār to bāhar ke haiñ Dhāne vaale
chāhe rahtā nahīñ maiñ par mirā ghar hai mujh meñ
maiñ jo paikār meñ andar kī huuñ be-teġh-o-zirah
āḳhirash kaun hai jo sīna-sipar hai mujh meñ
ma.arka garm hai be-taur sā koī har-dam
na koī teġh salāmat na sipar hai mujh meñ
zaḳhm-hā-zaḳhm huuñ aur koī nahīñ ḳhuuñ kā nishāñ
kaun hai vo jo mire ḳhuun meñ tar hai mujh meñ