dil-e-barbād ko ābād kiyā hai maiñ ne
aaj muddat meñ tumheñ yaad kiyā hai maiñ ne
zauq-e-parvāz-e-tab-o-tāb atā farmā kar
said ko lā.iq-e-sayyād kiyā hai maiñ ne
talḳhī-e-daur-e-guzishtā kā tasavvur kar ke
dil ko phir mā.il-e-fariyād kiyā hai maiñ ne
aaj is soz-e-tasavvur kī ḳhushī meñ ai dost
tā.ir-e-sabr ko āzād kiyā hai maiñ ne
ho ke isrār-e-ġham-e-tāzā se majbūr-e-fuġhāñ
chashm ko ashk-e-tar imdād kiyā hai maiñ ne
tum jise kahte the hañgāma-pasandī merī
phir vahī tarz-e-ġham ījād kiyā hai maiñ ne
phir gavārā hai mujhe ishq kī har ik mushkil
taaza phir sheva-e-farhād kiyā hai maiñ ne