Jaun Eliya

chalo baad-e-bahaari ja rahi hai

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
chalo bād-e-bahārī jā rahī hai
piyā-jī kī savārī jā rahī hai
shumāl-e-jāvedān-e-sabz-e-jāñ se
tamannā kī amārī jā rahī hai
fuġhāñ ai dushman-e-dār-e-dil-o-jāñ
mirī hālat sudhārī jā rahī hai
jo in rozoñ mirā ġham hai vo ye hai
ki ġham se burdbārī jā rahī hai
hai siine meñ ajab ik hashr barpā
ki dil se be-qarārī jā rahī hai
maiñ paiham haar kar ye sochtā huuñ
vo kyā shai hai jo haarī jā rahī hai
dil us ke rū-ba-rū hai aur gum-sum
koī arzī guzārī jā rahī hai
vo sayyad bachcha ho aur shaiḳh ke saath
miyāñ izzat hamārī jā rahī hai
hai barpā har galī meñ shor-e-naġhma
mirī fariyād maarī jā rahī hai
vo yaad ab ho rahī hai dil se ruḳhsat
miyāñ pyāroñ kī pyārī jā rahī hai
dareġhā terī nazdīkī miyāñ-jān
tirī duurī pe vaarī jā rahī hai
bahut bad-hāl haiñ bastī tire log
to phir tū kyuuñ sañvārī jā rahī hai
tirī marham-nigāhī ai masīhā
ḳharāsh-e-dil pe vaarī jā rahī hai
ḳharābe meñ ajab thā shor barpā
diloñ se intizārī jā rahī hai
Top Urdushayar.com