Jaun Eliya

apna KHaka lagta hun

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
apnā ḳhāka lagtā huuñ
ek tamāshā lagtā huuñ
ā.īnoñ ko zañg lagā
ab maiñ kaisā lagtā huuñ
ab maiñ koī shaḳhs nahīñ
us kā saayā lagtā huuñ
saare rishte tishna haiñ
kyā maiñ dariyā lagtā huuñ
us se gale mil kar ḳhud ko
tanhā tanhā lagtā huuñ
ḳhud ko maiñ sab āñkhoñ meñ
dhundlā dhundlā lagtā huuñ
maiñ har lamha is ghar se
jaane vaalā lagtā huuñ
kyā hue vo sab log ki maiñ
suunā suunā lagtā huuñ
maslahat is meñ kyā hai merī
TuuTā phūTā lagtā huuñ
kyā tum ko is haal meñ bhī
maiñ duniyā kā lagtā huuñ
kab kā rogī huuñ vaise
shahr-e-masīhā lagtā huuñ
merā taalū tar kar do
sach-much pyāsā lagtā huuñ
mujh se kamā lo kuchh paise
zinda murda lagtā huuñ
maiñ ne sahe haiñ makr apne
ab bechāra lagtā huuñ
Top Urdushayar.com