Jaun Eliya

sharmindagi hai hum ko bahut hum mile tumhein

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
sharmindagī hai ham ko bahut ham mile tumheñ
tum sar-ba-sar ḳhushī the magar ġham mile tumheñ
maiñ apne aap meñ na milā is kā ġham nahīñ
ġham to ye hai ki tum bhī bahut kam mile tumheñ
hai jo hamārā ek hisāb us hisāb se
aatī hai ham ko sharm ki paiham mile tumheñ
tum ko jahān-e-shauq-o-tamannā meñ kyā milā
ham bhī mile to darham o barham mile tumheñ
ab apne taur hī meñ nahīñ tum so kaash ki
ḳhud meñ ḳhud apnā taur koī dam mile tumheñ
is shahr-e-hīla-jū meñ jo mahram mile mujhe
fariyād jān-e-jāñ vahī mahram mile tumheñ
detā huuñ tum ko ḳhushki-e-mizhgāñ kī maiñ duā
matlab ye hai ki dāman-e-pur-nam mile tumheñ
maiñ un meñ aaj tak kabhī paayā nahīñ gayā
jānāñ jo mere shauq ke aalam mile tumheñ
tum ne hamāre dil meñ bahut din safar kiyā
sharminda haiñ ki us meñ bahut ḳham mile tumheñ
yuuñ ho ki aur hī koī havvā mile mujhe
ho yuuñ ki aur hī koī aadam mile tumheñ
Top Urdushayar.com