dil kitnā ābād huā jab diid ke ghar barbād hue
vo bichhḌā aur dhyān meñ us ke sau mausam ījād hue
nāmvarī kī baat digar hai varna yaaro socho to
gulgūñ ab tak kitne teshe be-ḳhūn-e-farhād hue
lā.eñge kahāñ se bol rasīle hoñToñ kī nādārī meñ
samjho ek zamāna guzrā bosoñ kī imdād hue
tum merī ik ḳhud-mastī ho maiñ huuñ tumhārī ḳhud-bīnī
rishte meñ ik ishq ke ham tum donoñ be-buniyād hue
merā kyā ik mauj-e-havā huuñ par yuuñ hai ai ġhuncha-dahan
tū ne dil kā baaġh jo chhoḌā ġhunche be-ustād hue
ishq-mohalle meñ ab yaaro kyā koī ma.ashūq nahīñ
kitne qātil mausam guzre shor hue fariyād hue
ham ne dil ko maar rakhā hai aur jatāte phirte haiñ
ham dil zaḳhmī mizhgāñ ḳhūnīñ ham na hue jallād hue
barq kiyā hai aks-e-badan ne tere hameñ ik tañg qabā
tere badan par jitne til haiñ saare ham ko yaad hue
tū ne kabhī sochā to hogā sochā bhī ai mast-adā
terī adā kī ābādī par kitne ghar barbād hue
jo kuchh bhī rūdād-e-suḳhan thī hoñToñ kī duurī se thī
jab hoñToñ se hoñT mile to yak-dam be-rūdād hue
ḳhāk-nashīnoñ se kūche ke kyā kyā naḳhvat karte haiñ
jānāñ jaan tire darbāñ to fir.aun-o-shaddād hue
shahroñ meñ hī ḳhaak uḌā lo shor machā lo be-jā lo
jin dashtoñ kī soch rahe ho vo kab ke barbād hue
samtoñ meñ bikhrī vo ḳhalvat vo dil kī rañg-e-ābādī
ya.anī vo jo bām-o-dar the yaksar gard-o-bād hue
tū ne rindoñ kā haq maarā mai-ḳhāne meñ raat ga.e
shaiḳh khare sayyad haiñ ham to ham ne sunāyā shaad hue