rañj hai hālat-e-safar hāl-e-qayām rañj hai
sub.h-ba-sub.h rañj hai shām-ba-shām rañj hai
us kī shamīm-e-zulf kā kaise ho shukriya adā
jab ki shamīm rañj hai jab ki mashām rañj hai
said to kyā ki said-kār ḳhud bhī nahīñ ye jāntā
daana bhī rañj hai yahāñ ya.anī ki daam rañj hai
māni-e-jāvedān-e-jāñ kuchh bhī nahīñ magar ziyāñ
saare kalīm haiñ zubūñ saarā kalām rañj hai
baabā alif mirī numūd rañj hai aap ke ba-qaul
kyā mirā naam bhī hai rañj haañ tirā naam rañj hai
kaasa gadāgarī kā hai nāf-piyāla yaar kā
bhuuk hai vo badan tamām vasl tamām rañj hai
jiit ke koī aa.e tab haar ke koī aa.e tab
jauhar-e-teġh sharm hai aur niyām rañj hai
dil ne paḌhā sabaq tamām buud to hai qalaq tamām
haañ mirā naam rañj hai haañ tirā naam rañj hai
paik-e-qazā hai dam-ba-dam 'jaun' qadam qadam shumār
laġhzish-e-gām rañj hai husn-e-ḳhirām rañj hai
baabā alif ne shab kahā nashsha-ba-nashsha kar gile
jur.a-ba-jur.a rañj hai jām-ba-jām rañj hai
aan pe ho madār kyā buud ke rozgār kā
dam hama-dam hai duuñ ye dam vahm-e-davām rañj hai
razm hai ḳhuun kā hazar koī bahā.e yā bahe
rustam o zaal haiñ malāl ya.anī ki saam rañj hai