abhī ik shor sā uThā hai kahīñ
koī ḳhāmosh ho gayā hai kahīñ
hai kuchh aisā ki jaise ye sab kuchh
is se pahle bhī ho chukā hai kahīñ
tujh ko kyā ho gayā ki chīzoñ ko
kahīñ rakhtā hai DhūñDhtā hai kahīñ
jo yahāñ se kahīñ na jaatā thā
vo yahāñ se chalā gayā hai kahīñ
aaj shamshān kī sī bū hai yahāñ
kyā koī jism jal rahā hai kahīñ
ham kisī ke nahīñ jahāñ ke sivā
aisī vo ḳhaas baat kyā hai kahīñ
tū mujhe DhūñD maiñ tujhe DhūñDūñ
koī ham meñ se rah gayā hai kahīñ
kitnī vahshat hai darmiyān-e-hujūm
jis ko dekho gayā huā hai kahīñ
maiñ to ab shahr meñ kahīñ bhī nahīñ
kyā mirā naam bhī likhā hai kahīñ
isī kamre se koī ho ke vidā.a
isī kamre meñ chhup gayā hai kahīñ
mil ke har shaḳhs se huā mahsūs
mujh se ye shaḳhs mil chukā hai kahīñ