Jaun Eliya

dil ne kiya hai qasd-e-safar ghar sameT lo

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
dil ne kiyā hai qasd-e-safar ghar sameT lo
jaanā hai is dayār se manzar sameT lo
āzādgī meñ shart bhī hai ehtiyāt kī
parvāz kā hai izn magar par sameT lo
hamla hai chaar sū dar-o-dīvār-e-shahr kā
sab jañgaloñ ko shahr ke andar sameT lo
bikhrā huā huuñ sarsar-e-shām-e-firāq se
ab aa bhī jaao aur mujhe aa kar sameT lo
rakhtā nahīñ hai koī na-gufta kā yaañ hisāb
jo kuchh hai dil meñ us ko laboñ par sameT lo
Top Urdushayar.com