kisī se ahd-o-paimāñ kar na rahiyo
to us bastī meñ rahiyo par na rahiyo
safar karnā hai āḳhir do palak beach
safar lambā hai base bistar na rahiyo
har ik hālat ke berī haiñ ye lamhe
kisī ġham ke bharose par na rahiyo
suhūlat se guzar jaao mirī jaañ
kahīñ jiine kī ḳhātir mar na rahiyo
hamārā umr-bhar kā saath Therā
so mere saath tū din-bhar na rahiyo
bahut dushvār ho jā.egā jiinā
yahāñ to zaat ke andar na rahiyo
savere hī se ghar ājā.iyo aaj
hai roz-e-vāqi.a bāhar na rahiyo
kahīñ chhup jaao na ḳhānoñ meñ jā kar
shab-e-fitna hai apne ghar na rahiyo
nazar par baar ho jaate haiñ manzar
jahāñ rahiyo vahāñ aksar na rahiyo