Jaun Eliya

ye paiham talKH-kaami si rahi kya

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ye paiham talḳh-kāmī sī rahī kyā
mohabbat zahr khā ke aa.ī thī kyā
mujhe ab tum se Dar lagne lagā hai
tumheñ mujh se mohabbat ho ga.ī kyā
shikast-e-e'timād-e-zāt ke vaqt
qayāmat aa rahī thī aa ga.ī kyā
mujhe shikva nahīñ bas pūchhnā hai
ye tum hañstī ho apnī hī hañsī kyā
hameñ shikva nahīñ ik dūsre se
manānā chāhiye us par ḳhushī kyā
paḌe haiñ ek gosh meñ gumāñ ke
bhalā ham kyā hamārī zindagī kyā
maiñ ruḳhsat ho rahā huuñ par tumhārī
udāsī ho ga.ī hai multavī kyā
maiñ ab har shaḳhs se uktā chukā huuñ
faqat kuchh dost haiñ aur dost bhī kyā
mohabbat meñ hameñ pās-e-anā thā
badan kī ishtihā sādiq na thī kyā
nahīñ rishta samūcha zindagī se
na jaane ham meñ hai apnī kamī kyā
abhī hone kī bāteñ haiñ so kar lo
abhī to kuchh nahīñ honā abhī kyā
yahī pūchhā kiyā maiñ aaj din-bhar
har ik insān ko roTī milī kyā
ye rabt-e-be-shikāyat aur ye maiñ
jo shai siine meñ thī vo bujh ga.ī kyā
Top Urdushayar.com