Jaun Eliya

sham hui hai yar aae hain yaron ke hamrah chalen

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
shaam huī hai yaar aa.e haiñ yāroñ ke hamrāh chaleñ
aaj vahāñ qavvālī hogī 'jaun' chalo dargāh chaleñ
apnī galiyāñ apne ramne apne jañgal apnī havā
chalte chalte vajd meñ aa.eñ rāhoñ meñ be-rāh chaleñ
jaane bastī meñ jañgal ho yā jañgal meñ bastī ho
hai kaisī kuchh nā-āgāhī aao chalo nāgāh chaleñ
kuuch apnā us shahr taraf hai naamī ham jis shahr ke haiñ
kapḌe phāḌeñ ḳhāk-ba-sar hoñ aur ba-izz-o-jāh chaleñ
raah meñ us kī chalnā hai to aish karā deñ qadmoñ ko
chalte jaa.eñ chalte jaa.eñ ya.anī ḳhātir-ḳhvāh chaleñ
Top Urdushayar.com