ik zaḳhm bhī yārān-e-bismil nahīñ aane kā
maqtal meñ paḌe rahiye qātil nahīñ aane kā
ab kuuch karo yaaro sahrā se ki sunte haiñ
sahrā meñ ab ā.inda mahmil nahīñ aane kā
vaa.iz ko ḳharābe meñ ik dāvat-e-haq dī thī
maiñ jaan rahā thā vo jāhil nahīñ aane kā
buniyād-e-jahāñ pahle jo thī vahī ab bhī hai
yuuñ hashr to yārān-e-yak-dil nahīñ aane kā
but hai ki ḳhudā hai vo maanā hai na mānūñgā
us shoḳh se jab tak maiñ ḳhud mil nahīñ aane kā
gar dil kī ye mahfil hai ḳharcha bhī ho phir dil kā
bāhar se to sāmān-e-mahfil nahīñ aane kā
vo naaf pyāle se sarmast kare varna
ho ke maiñ kabhī us kā qaa.il nahīñ aane kā