Jaun Eliya

shaKH-e-ummid jal gai hogi

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
shāḳh-e-ummīd jal ga.ī hogī
dil kī hālat sambhal ga.ī hogī
'jaun' us aan tak ba-ḳhair huuñ maiñ
zindagī daav chal ga.ī hogī
ik jahannum hai merā siina bhī
aarzū kab kī gal ga.ī hogī
sozish-e-partav-e-nigāh na pūchh
mardumak to pighal ga.ī hogī
ham ne dekhe the ḳhvāb sho.aloñ ke
niiñd āñkhoñ meñ jal ga.ī hogī
us ne māyūs kar diyā hogā
phāñs dil se nikal ga.ī hogī
ab to dil hī badal gayā ab to
saarī duniyā badal ga.ī hogī
dil galī meñ raqīb dil kā julūs
vaañ to talvār chal ga.ī hogī
ghar se jis roz maiñ chalā hūñgā
dil kī dillī machal ga.ī hogī
dhuup ya.anī ki zard zard ik dhuup
laal qil.e se Dhal ga.ī hogī
hijr-e-hiddat meñ yaad kī ḳhushbū
ek pañkhā sā jhal ga.ī hogī
aa.ī thī mauj-e-sabz-e-bād-e-shimāl
yaad kī shāḳh phal ga.ī hogī
vo dam-e-sub.h ġhusl-ḳhāne meñ
mere pahlū se shal ga.ī hogī
shām-e-sub.h-e-firāq daa.im hai
ab tabī.at bahal ga.ī hogī
Top Urdushayar.com