Jaun Eliya

KHwab ki haalaton ke sath teri hikayaton mein hain

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ḳhvāb kī hālatoñ ke saath terī hikāyatoñ meñ haiñ
ham bhī dayār-e-ahl-e-dil terī rivāyatoñ meñ haiñ
vo jo the rishtā-hā-e-jāñ TuuT sake bhalā kahāñ
jaan vo rishtā-hā-e-jāñ ab bhī shikāyatoñ meñ haiñ
ek ġhubār hai ki hai dā.era-vār pur-fishāñ
qāfilā-hā-e-kahkashāñ tañg haiñ vahshatoñ meñ haiñ
vaqt kī darmiyāniyāñ kar ga.iiñ jāñ-kanī ko jaañ
vo jo adāvateñ ki thiiñ aaj mohabbatoñ meñ haiñ
partav-e-rañg hai ki hai diid meñ jāñ-nashīn-e-rañg
rañg kahāñ haiñ rūnumā rañg to nik.hatoñ meñ haiñ
hai ye vajūd kī numūd apnī nafas nafas gurez
vaqt kī saarī bastiyāñ apnī hazīmatoñ meñ haiñ
gard kā saarā ḳhānumāñ hai sar-e-dasht-e-be-amāñ
shahr haiñ vo jo har tarah gard kī ḳhidmatoñ meñ haiñ
vo dil o jaan sūrateñ jaise kabhī na thiiñ kahīñ
ham unhīñ sūratoñ ke haiñ ham unhīñ sūratoñ meñ haiñ
maiñ na sunūñgā mājrā ma.arka-hā-e-shauq kā
ḳhuun ga.e haiñ rā.egāñ rañg nadāmatoñ meñ haiñ
Top Urdushayar.com